Pita- A Tribute to Every Father

By Neha Dixit– The Guest Editor

“Pita…” ek aisa shabd… jo khud me shirf ek shabd nahi balki poori ek Duniya hai. Pita, wo insaan hai jo aapki chinta tabse karta hai jab aap is duniya me aaye bhi nahi  hote hain. Wo har din sirf isliye mehnat karta hain jisse wo hume ek khusio se bhari zindagi de sake, ek behtreen duniya de sakein. Pita Hume har wo khubsurat chiz de dena chahta hain jisse wo khud mehroom rahe apne bachpan me. Pita hume un mushibato or pareshaniyo se bacha lena chahte hain jo unhone apne zindagi  me saamna kiya, jisse unhe ladana pada hai. Wo har waqt hamare liye hamare aage dhaal ban kar khade rehte hain jisse hume koi taklif  naa ho.

Relationship
Late Shri Ramesh Chandra Dixit

Jab hamare sar se pita ka saaya uth gaya, jab wo ham sabko chor ke chale gaye us din maano aisa laga ki ham sabki poori duniya hi khatam ho gayi hai. Har pal,har din unki aisi kami lagti thi jaise zindagi hi bojh ban gayi hai. Bachpan bahut komal hota hai,us waqt hume nahi pata hota ki zindagi hamare liye hamesha Phoolo ka bistar or chain ki neend le ke nahi aati… Ek chote se masoom se baache ko nahi maloom hota ki  Zindagi har din ek jung hai, apko mushkilo se ladna hi padega jeene ke liye. Waise hi, hume bhi kuch nahi
pata tha is duniya ke bare me. Hum to bas apni hi choti si duniya me Khush the, par jab papa ka haath sar se uth gaya to zindagi aasaman se zameen pe aa giri. Wo waqt aasan nahi tha.Wo Meri ab tak ki Zindagi ka sabse mushkil waqt tha. Unke na rehne pe ehsas hua ki Zindagi me aapko “Khushiya” or “ Gham” dono milnge or jab jab Khushiyan milenge to aapko har pal ishwar ka shukriyada karna hai hume ye khubsurat pal dene ke liye or Gham ki ghadi me bhi aapko ishwar se hi himmat maagni hai ki hum is mushkil ki ghadi me apni poori himmat se lad payein.

Relationship
A still from A Pursuit Of Happyness

Jaise jaise waqt beetata gaya vese vese bahut chize seekhayi zindagi ne hume. Ye sab kuch itna aasan nahi tha jitna shabdo me bayan Krna hai.. Har pal me papa ki yaado ko yaad karte hue aansu chalak hi jaate the.. Par ek seekh unki hamesa sath rahi hai mere sath bachpan se hi ki

“ Hume haarna nahi hai” .

Kathin raasto par bhi datt kar mushkilo ka samna karna hai. Ek bar gir kar phir se utna hi jaldi khade hona hai usi utsah ke sath or phir se apne din ko shuru karna hai. Kyoki zindagi kabhi bhi aasan nahi hogi or agar aapko jeena hai to aapko ladna hoga, aap himmat nahi haar sakte. Aakhiri me yahi ek baat kehna  chahenge ki Zindagi me kisi bhi mushkil halat me kabhi himmat naa haaro kyoki jab tak buland hausla sath hai tab Tak aap jarur jung Jeet sakte hain.

Relationship
A Relation between a Father & a Daughter is the Cutest: Inspire Yourself

Zindagi kisi ke liye nahi rukti, aapko chalna hi hai. Haan kabhi kabhi haalat todne waale hote hain par saacha sipahi wahi hai jo kabhi Khud ko tootane nahi deta. Or hum aaj bhi yahi soch ke Khush hote Hain ki papa aaj jahan bhi honge wo Khush honge hume dekh kar ki unki beti dari nahi,tooti nahi or usne har waqt ka saamna himmat se kia hai. Yahi mera ab tak ka sabse bada ehsaas hai.

Author’s Note:

Welcome on-board Ms Neha Dixit, our First Guest Editor for Inspire Yourself, thank you so much Neha for your wonderful contribution towards Inspire Yourself. So happy to have you with us. You have been such a wonderful friend of mine.

The pain that I can feel while reading this is not measurable, life does becomes really hard after one looses his father, that too at a tender age, but you have done really well not just by taking care of yourself but your family as well, that too so successfully. You too, are an inspiration for others not to give up, even during hard times. Kudos.

Thanks to all my dear readers for connecting with Inspire Yourself

 

Leave a Reply to Anonymous Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *